Monday, February 13, 2012

Jab chhukh chhukh karti railgaadi, ek anjaan se station se guzarti hai,
Daraft ke pichhe thandi shaam, akeli angdaai leti dikhaai padti hai..
Koi nahi hai platform par, sunsaan ek khaali bench hai bas,
Chain pull kar isi station par utar jaane ko jee karta hai..
Jaanta hun ghum ho jayegi ye shaam bhi kuch he der mein bas,
Lekin fir bhi mujhe uska mehmaan ban jaane ko jee karta hai
Thak gaya hun main bhi uski tarah din bhar ki bhaag daud se bas,
Saath uske daraft ke pichhe ek lambi angdaai lene ko jee karta hai..
kho jaon main bhi yahin ghum hokar uski bujhti roshni mein ab bas,
Saath uske raat ki chadar odhke, sitaaron me doob jaane ko jee karta hai..
Jab chhuk chhuk karti railgaadi ek anjaan se station se guzarti hai,
Daraft ke pichhe thandi shaam, akeli angdaai leti dikhaai padti hai..